8 Dec 2021

NASADIYA SUKTA : THE SONG OF CREATION

Bharat ek khoj title track

The Title track of the famous TV serial BHARAT EK KHOJ  was based on an ancient vedic sukta namely Nasadiya Sukta

Translation in 

Hindi by Pandit Vasant Dev

 It is available on YouTube and the link is as follows:

Link : https://youtu.be/xoiEJQUCxxs

 

Lyrics:

Srishti se pehle sat nahin thaa, asat bhi nahin Antariksh bhi nahin, aakaash bhee nahin thaa.

Chhipaa thaa kyaa, kahaan, kisne dhaka thaa?

Us pal to agam, atal jal bhi kahaan thaa.

 

Srishti kaa kaun hai kartaa?

Kartaa hai ya vikartaa?

Oonche aakash mein rahtaa.

Sadaaa adhyaksh banaa rahtaa.

Wohee sach much mein jaantaa..Yaa nahin bhi jaanataa

Hain kisi ko nahin pataa,

Nahin pataa,

Nahin hai pataa, nahin hai pataa.

 

Following is the lyrics of the track that is played at the end of each episode. Again, the first stanza is in sanskrit and it fades as the hindi song begins.

 

 

Voh tha hiranya garbh srishti se pehle vidyamaan.

Vohi to saare bhoot jaatee ka swami mahaan. jo hai astitvamaana dharti aasmaan dhaaran kar.

Aise kis devta ki upasana kare hum havi dekar?

 

Jis ke bal par tejomay hai ambar.

Prithvi hari bhari sthapit sthir.

Swarg aur sooraj bhi sthir.

Aise kis devta ki upasana kare hum havi dekar?

 

Garbh mein apne agni dhaaran kar paida kar,

Vyapa tha jal idhar udhar neeche upar, Jagaa chuke vo ka ekameva pran bankar,

Aise kis devta ki upasana kare hum havi dekar?

 

Om ! Srishti nirmata swarg rachaiyta purvaj rakhsa kar.

Satya dharma palak atul jal niyamak raksha kar.

Phaili hain dishayen bahu jaisi uski sab mein sab par,

Aise hi devta ki upasana kare hum havi dekar, Aise hi devta ki upasana kare hum havi dekar. 

No comments:

Indian mythology

Indian mythology
Even ancient mythologies had nuggets of truth

Blog Archive